Wednesday, August 26, 2020

Mr.420 film

Working Title-Mr.420/ story Draft/Story written By Smrit Singh/ smirtsingh1@gamil.com/8317053776
MAIN LEAD
DHARAMRAJ - Protagonists/Anti hero
SHABNAM- Antagonist and Dharam Raj's lever
NATSMRAT- Dharam Raj's mentor and friend
NARANGI-RTO Clerk
JAICHAND- Politician and Antagonist
SHAKTI SINGH-Politician and Antagonist
GULSHAN - Shakti singh'son
MUSSAMI-Narangi's cousin'
SUKHRAM-Judge

Freedom to Live
cold opening - saal 1980, Delhi,  BBC London  ...Radio samachar...hume abhi jo taza jankari mili hain uske anusar hijack Train main reserve bank of India ke 2000 cr rupaye le jaye ja rahe the...Ye train hijack tab hui jab kakori station pe tarin ke diesel engine ko electric engine se badla ja raha tha... humare vishvasneeya sutru ki mane to  apharankarta train main alag alag pahchan ke sath sawar ho gaye the.. jisme kuch TT, kuch yatri, fal vale, cook, tatha kuch AC attendent,  repair man , gangman,kuli ke roop main swar hue the, ....Train ko hijack karne vale ki ek demand hain agar  passinger aur train chahiye to  turant Nat samrat ko reeha kiya jaye... 
Yatrigan dhyan de main Dharamraj iss Train ka senior loco pilot hu..aap kidnap ho chuke hain..sankhya bal main aap 872 hain aur hum hathiyarband 2420 result saf hain veerta dikhane main apko sirf veergati milegi .. apke bagal main baitha har dusra sajjan ek shatir criminal hai...isliye 3 - 5  6-9 mat kijiyega....Ye duniya ki sabse badi train hijacking hain. hum isse bina khoon kharabe ke sath record book main darz karana chahte hain, kripya humra sahyog kare... Shauchalay saaf rakhe, Safar main apko behtreen khana pina diya jayega .... Dhanyvaad apki yatra shubh ho..
ACT 1
The Ordinary World-10 saal pahle.....
Ye dhoom dhadaka, aatish bazi,aur joolush jo Rani gunj state se nikal raha hain..usme sabse aage ghode pe shavar, jagiradar Jivan chaudhary, mere pita hain..Aur jo palki unke piche ja rahi hai.. asal main usme meri Maa ka shav hai jinhe antim sanskar ke liye le jaya ja raha hain..humne shav yatra nahin Maa ki shobha yatra nikali hain..Aur ye mera baap ka feudal style hain aur main ek ameer jyda hu.. jiska naam hain Dharmaraj...
Call to Adventure
razer barik najar na ho to yakeen maniye, old And blind hathi ko bhi jawan aur pregnant bata kar lakho ka chuna lagaya ja sakta hain... jaisa ki mere pita ne kiya .. andha hathi aur purani Haveli naye daam main becha.. thoda udhar chukaya aur videsh se illegal Beetal car magane ka order diya..Mere 18th birthday se pahle hi mere pas Beetal car aane vali thi jiski chabhi sone ki thi.... class ka har bacha mere ameeriyat se jalta lekin mera dost bankar mujhse kuch na kuch pane ki ichha karta...lekin ek din vo bhi aaya jab  jisse bhi maine mohabbat ki vo mujhse ruth ke jane laga...ye jahar tha jise mujhe pina tha .. kyuki Maa shobha devi ne hukka pee pee ke apne fefde main foda kar diya tha.reality ye thi  political party ke 2 neta Jaichand bhati aur shakti Singh ne  bharat ki pahli Car nirmata company Hindustan motar's ka chairman banane aur uske bad  MLA banane ka shapna dikha kar mere pita jagrirdar Jivan chaudhry ka sara paisa koot liya tha.. 
Ab tu jivan chaudhry apni  bivi ki maut ke intzar main the ki kab uski maut ho aur vo Rani gunj se muh chipa ke bhag sake.. ye Rani gunj kabhi meri Maa ka tha jo mere pita ko dahej main mila tha ..ilaake  ke har sahookar se pita ji ne karja liya tha..
Refusal of Call
Meri maa ke marne ke  kuch dinon bad pita ji ne mujhe  Beetal car ki delivery lene Haldiya port bheja...Vo nahin chahte the ki iske bare mein kisi ko pata chale.. unhone mujhse vapsi main Aagra milne ko bola tha.. jaha ke  RTO main vo mere naam se draving license aur gadi ke kagaj banvane vale the.. lekin iss bich Kuch paise ki lalach main Haveli ke head servant  Ramchela aur Deevan Dealing babu ne mukhbari kar di ki... pita ji Rani gunj se bhagne vale hain 
Pita ji ke Agra niklne se pahle hi sahokaro aur unke gundo ne ek bheed bula kar Haveli ki ek ek chij ki numaish aur nilami kar di .. police, daroga, vakil jisne bhi mere baap ka iodin namak khaya tha un sab ne mere pita ki ab gand bhi maar li thi ...Akhari rat vo apni khali haveli main sirf sona chahte the lekin ab uss haveli ka malik koi aur tha..  jinhone barso se mere baap ka namak khaya tha ..Unhone pita ji ka colar pakda aur Jhapad marte hue Haveli se bahar fek diya..Dusre din mere baap ki lavarish  lash usi RTO ke pas mili jaha vo jana chahte the..Shayad unhe mere licence ki chinta rahi hogi jo vo rat main  paidal hi  RTO  nikal gaye.. lekin RTO pahuchate pahuchte hi dum tod diya Dehydrated hone aur  thakavat se kisi ki jaan jati hain bhala magar unki chali gayi kabhi itna paidal chale kaha the..hugne bhi ghode pe baith ke  jate the..
 Idhar Haldiya pahuchne pe mujhe pata chala ki jo custom adhikari Ravindra ghosh mere pita ki car deliver karne vala tha .....use mere  pita ki maut ki khabar mujhse bhi pahle mil chuki thi ...Usne car ki custom duty itni badha di ki jise pay karne ka gand main dum mere gand main nahin tha.. Ravindra Ghosh ne mujhe aakhir main ek Telegram diya.. ye kisne bheja tha nahin pata lekin usme pita ji ki maut ki khabar aur unke antim sanskar ki bat likhi thi..
Meeting with the Mentor
Main kanpur tak train main aaya aur vaha se Rani gunj  ke liye bus leni thi ...Tabhi mere pita ki hi umer ka insan mere bagal main baith gaya.. vo kafi jankar jyutish 
malum hua ..... mera hath dekha mujse bola ki mere hath main raj yog hain lekin.. pair mein kaal chakra dosh bhi hain.. jo mujhe kabhi bhi kisi ek kam main tikne nahin dega....Tabhi conductor ticket ke liye aaya.... maine apni jeb se paise nikalne ja hi raha tha ki uss insan ne mera hath jeb main jane se pahle hi rok liya pita saman hone ki bat bolkar khud apne sath mere ticket ke bhi paise diye ...Mujhe pahli bar ahsas hua ki paropakar jaisi bhi koi chij duniya main hoti hain .
Crossing The Threshold
Rani gunj pahucha tu samosa khane ka dil kiya, khane ke bad  jab, jeb main hath dala to mujhe pata  jyotish babu ne jeb pahle hi kat li thi isliye mujhe paise nahin dene diye aur ranigunj se pahle hi kisi dusre stop pe utar liye the.. dukanvale ne Peet peet ke muh suja diya tha.. ...pahli dafa bajaru laat khayi thi .Mai Rani gunj se Aagre aa gaya..Gale main padi sone ki chain bechkar vaha kuch din jiya ja sakta tha... tabhi mere samne vo jyotish babu khada tha....Dekhte hi gale lag kar rone laga aur batya ki uss din meri patni maut ho chuki thi aur uske antim sanskar ke liye mujhe paise ki jarurat thi.. Jyotish babu ne mujhe mere paise vapas kiye aur bhar pet khana khilaya ..Aur chala gaya ye kah kar ki aaj uski patni ki terhvi hain use kuch aur logon ko bhi khana khilna hai... .
Act 2
Belly of the Whale
Jab main apni sone ki chain bechne sonar ki dukan pe pahucha tu pata chala ki iss bar jyotish babu ne meri gale ki chain uda di thi jab vo mujhse lipat ke ro rahe the...Main ab bilkul pagal ho chuka tha aur sach maine apne baal nochne  laga ye dekhkar vaha maujud kuch awara kutto ne mujhe dauda liya aur mere kapdo ko cheer fad dala, main kisi tarah unse jaan bacha kar ek kude ke dumping zone main jakar chipa tha lekin, yakin maniye ab tak mere body ke lagbhag sare kapde fat chuke the ... rabies ke karan fever, headache, muscle spasms, paralysis and mental confusion hone laga tha..  juban bahar latak gayi thi aur muh se bahut jayda laar tapak rahi thi..  Subah maine khud ko aagre ke pagal khane main paya shayad kisi safai karmi ne mujhe nanga aur confuse dekh pagal samjh liya .....Kuch hafte  doctors ne mujhpe kai tarah ke shock treatment kiye  mujhe aadha pagal karne ke bad doctors ko ye pata chala ki mujhe rebish ki vajah se mental confusion hain aur main pagal nahin hu.. nabhi main 24 injection thokne ke bad mujhe hospital se chuti mil gayi sath hi ek aur pagal "Narangi" ko bhi.... 
 Tests, Allies, and Enemies
kabhi Narangi RTO department main clerk tha ... usse RTO ki building se pyar ho gaya tha vo building uski mashuk thi.. ..Maine kai tarah ka pyar dekha tha lekin pahli bar mujhe ek aisa insan mila jise kisi building se pyar hua tha...Narangi,  pandit aur band baje ke sath RTO ki building se shadi karne pahuch gaya tha RTO valo ne use naukari se nikal kar pagal khane bharti kar diya ...Ab usne  RTO ke samne ek chai ki tapri laga li ... Aur mujhe helper rakh liya.. din rat usi building ko dekhta tha aur main chai banake RTO valo ko pilata rahta .. Narangi  ke anusar ye employee nahin uske sasural vale hain.. 
issi bich mujhe RTO maine ho rahi heraferi aur jali deriving licence, number plate aur siege hui gadiyon ko kaise chodaya jaye... ye sabkuch pata chal chuka tha... Narangi pagal premi jarur tha lekin usne RTO main hone vali har activity  main PHD kar rakhi thi.. ye samjh lijiye ki Narangi ne mujhe itna trend kar diya tha ki maine aisi kisi bhi gadi ki kundli bana sakta tha Jo iss duniya main bani hi nahi..
Main humesha akhbar ke uss tasveer ko apne sath rakhta tha jisme Beetal car jaisi tasveer thi.. Beetal car hi thi jo mujhe  yaad dilati ki main Maa, aur pita ji aakhri bar kab sath the...
Narangi ko yakin tha ki jaise use RTO building  se pyar hain usi tarah main Beetal car se betahasha pyar karta hu..Had tu tab ho gayi jab mujhe pata chala ki Narangi ki dur ki bahan Mussami, Narangi ko patra likh kar usse poochti thi ki kakori station ko kaise pataya jaye, jiske pyar main vo ek tarfa pagal thi.. Narangi aise logo ke association ka life time president tha  jo lifeless chijo ke pyar main pagal hain... 
ek bar RTO dafter ke pas ek gadi malik apni car ko unlocked chodke chala gaya tha..Meri najar uspe rahti hain..main uss car ke pas jhat se pahuch jata hun..jab tak uss gadi ka malik RTO dafter se vapas aaya utni der me main gadi chalana sikh chuka tha.. ye sabkuch meri photographic memory ka kamal tha...Bad main Narangi ne batya ki vo Car uske sasur "Mega Buildervala" ki thi..
The Road of Trials
Ye vo Daur tha jab desh mein har cheej pe premium lag raha tha, ... Mauke ko bhunaate huwe maine  license ki dalaali ke saath saath uski forgery bhi karne laga..Aise main ek aadmi jisne mujhse licence banvaya tha vo Delhi main pakda jata hain…aur uski nisandehi pe mujhe Agra se police utha leti hain..mujhe Delhi court main pesh kiya jata hain.. jaha Sukhram judge tha jiski image ek imaandar judge ki thi lekin ander se vo ek corrupt aadmi tha..
Approach to the Innermost Cave
Sukhram, chahte to meri kam umer dekhte hue mamle se bari kar sakte the lekin unhone aisa nahin kiya aur finally mujhe jail bhej diya, jabki uss din mera 18th  birthday tha ..... Narangi meri jamanat dene vakil ke sath aaya.. lekin usne meri jamanat ki bajaye jyotish babu ko bail kara di..Jail le jane se pahle mere sath hi jyutish babu bhi kisi 420 ke case mein band the.....  
Narangi  jyotish babu ko apna  sasur "Mega Buildervala" samjhta tha jo RTO Building ke papa hain...Unka bada beta kakori main railway station hain jisse Narajgi ki dur ki bahan mausami pyar karti hain... Kakori railway station aur Mussami  ki shadi karane ke liye jyotish babu urf Megabilder vala ko  jail se niklna jaruri tha kyuki jyotish babu ke anusar jald hi Railway main hadtal ka mausam aane vala tha ... Bahut intence mahol tha ..Aakhir main Narangi mujhe chod Jyotish babu urf Mega buildervala ko apne sath le gaya..
Jyotish babu ki bat sach hui..Usi time 1974 main desh ki sabse badi Rail hadtal hui aur pure desh main marshal law lago hua aur hajaro rail karmi  aur union leader jail main daal diye gaye..  kisi bhi kaidi ko jamanat nahin mili fir mujhe kaise milti...
yaha pahli baar mujhe  kaidiyon ki durdasha aur uss psychology ka pata chalta hain ki...jab kisi kaidi ko jarurat ke time jamanat nahin milti to uski kya halat hoti hain..uss daur main bhi aaj ki hi tarah  log, prisoner ko criminal samjhte the
primeminster indra gandhi ko ye Rail hadtal, unhe satta se hatane ki sajish lagi .Shuck ki sui uss daur ke samajvadi neta aur Railway union ke President vidya mohan desuja pe thi... jinhe prime minister ka virodhi mana jata tha...vidya mohan sirf sarkar se railkarmiyon ke bonas ke liye 200 cr ki mang kar rahe the... aur sarkar nahin mani aur unhe dharne se utha kar jail main daal diya... jiska khamiyaza ye hua ki sarkar ko 20 din ki hadtal main 2000 cr ka nuksan hua.. kai begunah maute bhi hui lekin isse bhi kya furk pata hain..
Idhar railway union ka ek sangathan hadtal ki aad main charo metro cities ke  railway track ko bom se udana chahta hain ...Taki Army cities main na ghus paaye aur sarkar hadtal ko rokne main nakam ho jaye ...
Meeting the Goddess
Issi jail ki mahila cell main ek ladki shabnam bhi thi jo junior doctor ke roop main appoint ki gayi thi jo asal main  ek under cover agent thi..Jisse railway ke un leders pe najar rakhne ke liye jail main bheja gaya tha jo rail track ko bom visfot se udane ki yojna bana rahe the....
Maine bahut jald hi Shabnam ka vishvas jeet liya aur usne mujhse deal ki .. mujhe unn logo ki khabar deni thi jo rail track ko bom se udana chahte hain.. shabnam ne ye khabar dene ki avaj main mujhe iss bat ki guarantee di ki vo mujhe court se bari kara degi...
Jail main rahne ke dauran maine ne kuch aise kaidiyon ki pension aur provident fund ke forged documents bana diye jo railway maine 30 salo se contract pe kam kar rahe the...  unme se hi ek employee...ne mujhe uss mastermind Jaichand Bhati  ka naam bata diya jisne railway track ko bom se uda dene ki yojna banayi thi ... 
Jaichand koi aur nahin mere pita ko lootne vale politician main se ek tha ...Maine jaichand ki khabar Shabnam ko di  tabhi master mind Jaichand vidyamohan pe jail main goliya chalva di jo ek non violence protest chahte the ...Jai chand ko dar tha ki  vo protest vapis na lele...Junior doctor shabnam ko bulaya jata hain  lekin vo doctor thi hi nahi aise mein, sirf aadhe ghante medical ki kitab padhke, maine jail ki rasoi main rakhe aujaron se vidyamohan ka operation kar dala..Ye ajib lagega but ye bhi meri photography memory ka kamal tha..
Jaichand ko pakad liya jata hain uspe deshdroh ka mukdma chalta hain...Sarakar iss pure ghatna ke bad Rail karmachariyon ko riha kar vidya mohan ko hadtal vapus lene ke liye mana leti hain..
Idhar jail se nikalte hi maine Forged document bana ke Railway maine naukari le li iss kam main union leader Vidya mohan ka vo letterhead bade kaam aaya jispe unke signature the... Letter Head ko maine unka operation karne ke dauran aar-par kar diya tha.. bad mein maine unke sifarish latter patra se un contract employees ko bhi railway mein permanent kara diya tha jinke forge document maine banaye the .....
Temptation
Police ki under cover agent Shabnam aur meri akser mulakat hoti rahti hain.. hum ek dusre ko chahne lage the.. mujhe northern railway delhi main naukari mil jati hain..Main  kai bar pure 28 state ghum chukka tha aur ab 14 language bolne laga tha..Jo maine rail yatriyon aur un besahara logon se sikh li thi jo din rat sirf station pe hi rahte the....har bade station ke pas hi ek relight aria bhi hota hai ..sirf chodam patti ke liye hi nahin sangeet ke liye bhi randi khane kamal ki jagah hote hain....Maine yahan tabla bajana sikha...Mera tabla, Noor begum ke ghughuro aur Gulfam ali ki gajal uss daur ke nawabi kotho ki shaan hua karte the.. 

Atonement With the Father
Powerfull politician Shakti singh ka beta Gulshan akser nashe me dhoot rahta tha aur usne GB road pe apna private kotha bana rakha tha jaha main railway ki job se free hone ke bad tablchi (table bajane vala) bana hua tha... Gulshan jab ek rat nashe main dhoot tha to main use chodne uske bangle pe gaya.. kyuki uske pas bhi Beetal car thi..car ki golden chabhi dekh mujhe  pata chal gaya tha ki ye mere pita ki hi beetal car hain jise custom vale ne shakti singh ko bech diya  tha... issi bich maine Apne pita ki beetal car ko gulshan se chori karta hu aur ye aajad Bharat ki pahli car chori thi..Jiski FIR aaj bhi sansad bhavan ke police thane main darz hain..
Iss imported gadi ki chori ki report ko pure india ke Newspepar main chapa gaya..Aur aage chalakar ye bat samne aayi ki jis neta ke ladke ki car chori hui vo koi aur nahin uss daur ke jail minister shakti singh the jinhone Jaichand bhati ke kahne pe jail main bandook pahunchane main madad ki thi.. jiske bad vidya mohan pe jail ke bhitar goliya chalayi gayi thi.....Shakti singh ne kabhi mere pita ke paise se chunav jeeta tha..high-profile car chori ka case fir under cover police officer shabnam ke pass aata hain jise abhi tak nahin pata ki uss car ko churi karne vala main hi hu jiske pyar main vo pad chuki hain ..
Shabnam aur mere bich kafi der tak chuhe billi ki chess chalti rahi ...Gulshan ki Beetal car ko kahin dump karne ke liye jab main koi jagah talash kar raha tha.. iss baat ki khabar shabnam ko lag jati hain.. police car ka picha karti hain jaha mujhe bachata hain Nat samrat ..jo khud pure sahar main vaisi hi imported Beetal car liye ghoom raha tha...jiske bad police ki car mera picha chod Nat samrat ki car ke piche chali gayi... yaha pehli official  mulakat hoti hain Meri mahan chalbaz thung Nat samrat se jo koi aur nahin .. jyotish babu urf Mega builder vala hain jinhone mujhe thaga tha...Jo ab Narangi aur Mausami ki sasur bhi the...
Shabnam  ko aakhir me badi mehnat ke bad unhin kotho ke pas vo Bheetal car milti hain jaha akser Gulshan apni havas meetane jata tha..... minister Shakti singh ki kafi badnami hoti hain aur akhbaro main ye tak chapa gaya ki asal main GB road ka  64 number kotha Gulshan ke nahin Shakti singh ke ishare pe chal raha tha... shabnam ki investigation se pata chalta hain ki ye pura mamla sex racet ka hi nahi human trafficking ka bhi hain jisme shakti singh aur unke bete ki direct bhumika hain..
shakti singh ko resign karna padta hai aur unka political career chaupat ho jata hain… iss ghatna ke bad hi maine shabnam se apne pyar ka ijhaar karta hu aur shabnam turant haa kar deti hain.....Idhar kuch dinon bad Railway ke ek adhikari ki bhi car chori hone se pure railway mein hadkam mach jata hain… Serial chori ke mafik pure desh main kuch hi dino main 40  imported cars aur 1000 se jyda Fiat and Ambesdor car chori hoti hain… Ye sari cars maine aur Narangi ne milkar churai thi jo ek tribute tha God father Natsamarat ke liye.. 
Apotheosis
Aage, Nat samrat ke kahne pe Delhi ke Mayapuri ka market establish kiya gaya, jaha U.P, Bihar se aaye tadipar laundo ko truck aur car katne ka kam diya gaya…Aage chalkar Mayapuri asia main chori ki gadiyon ka sabse bada dump zone ho gaya...Iss market main car to bahut choti si chij thi puri ki puri truck ko kaat kar uska purja purja minto main bech diya jata...Idhar shabnam  ko Railway adhiakri ki car chori ke bare me ek internal tip milti hain...Bus yahi main pakda liya jata hu..Main bhag sakta tha lekin shabnam ne mujhe dekh liya tha..Ab bhagne ka bhi kya fayda...Aur jab investigation shuru hoti hain to mere railway main naukari pane ke jalsaji bhare raaj se bhi parda uthta hain...
Tees hajari court main mere virodh mamla pesh kiya jata hain.. Iss bich desh ke kai state main mere upper car chori ke 95 case alag alag court me chal rahe hote hain...Ab jail aur bail ke bich jhulte hue mai indian constitution and indian law ke bare me sab kuch padh chukka tha...Jail main hi maine Graphology yani signature science ki bhi padhai ki..ye study insan ki likhavat se uske personality ke bare main batati hain..Sath hi ye study insan ko forge signature karna aur uski bariki samjhna bhi sikhati hain....Ab yahin mera sabse bada jackpot lagta hai kyuki ab  Natsamrat ki kahi hui bat sach hone vali thi ki mere jivan main Rajyog hain..
Maine ab apna case khud lada aur public prosicuter ki apni dalilo se dhajjiya uda di aur court ne mujhe baijjat bari kar diya.. Shabnam daat pisne ke alava kuch na kar saki.. maine kai bar usko mana kiya tha ki daat na pisa kare, kyuki kai bar daat pisne se uske lips kat jate aur humara lip kiss udhura rah jata... ..Iss ghatna ke bad  desh ke sabhi chor uchako, chalbaaz, bandalbaaz association ke leader Nat samrat ne mujhe Mr. 420 ki upadhi se navaja..
Act 3
The Ultimate Boon
nabalik ladke aur ladakiyon ke sath sexual abuse aur sex racket main fase shakti singh, case ko apne home state main transfer kara dete hain..Akhbar main ye bat samne aayi ki  chif Ministers aur sarakar ke dabav me aakar....Judge ne shakti singh ko clean chit dekar mamle se bari kar diya jiski judiciary janch honi chahiye..
Maine personaly iss case main intrest leta hu...Kyuki shakti singh ko bail dene vala vahi judge Sukhramtha hain  jisne mujhe bhi kisi jamane main saja di thi...ab aage chalkar iss case main.. mai kitne logon ka beda paar karne vala tha ye asal mein mujhe bhi nahin malum tha..
Idhar uss judge ko sabak sikhane ke liye maine ek confidential letter suprime court ke judge JJ katju ke sign ke sath district court me bheja..Jiska siddha asar ye hua ki magistrate SUKHRAM ke khilaf corruption ki enquiry baitha di gayi lekin unhe judge ke position pe bane rahne diya gaya..Jab us enquiry se kuch na hua to uske against maine ne Bharat ke Rastrapati ke signature ke sath ek patra  governor ko bheja..Governor ke hastakshep se, Judge sukhram ne fauran se amal kiya aur next day se chuti pe chale gaya....Iske bad ek naye later ke dwara maine sessions court me naye judge ki bahali aur unke aane ke bare me sochna di...Aur ab uss naye judge ki chair pe koi aur nahin main baitha tha...Apne judge rahne ke dauran maine 2420 logon ko record tod jamanat dekar judiciary system ki najar main aa gaya.... 
Refusal of Return
Shabnam aur mere sath kismat ko abhi kai aur khel khelne the jisme dono ki zindgi ki haisiyat aur hasrat humesha ke liye badlne vali thi..Idhar sabhi state police ke joint operation main Natsamrat ko girftar kar liya jata  hain...girftar hone se pahle Natsamrat international economics Foram main as econmist indian banking system ke uper lecturer de raha tha jisme RBI Governor PP Pal chif guest the...Pakde jane ke bad Natsamrat ke pas se kuch aise logon ke naam mile jinhe haalfilhal meri hi court se jamanat mili thi..
shabnam ye pata lagane main kamyab hogayi ki vo judge main hi tha jo sukhram ki jagah aaya tha aur shakti singh ne sach main sukhram ko ghoosh dekar case apne favor main kiya tha...sukhram aur shakti singh ko pakad liya jata hain lekin tabtak main judge ki kursi se lapata ho chuka tha...
Rescue from Without
Nat samrat ke pakde jane ke bad Shabnam ko IPS ki post pe pramote kiya jata hain... Aur uss time ke sabse most wanted hyped case Dhramraj case ki kamaan saupi jaati hai...Pure opration ko naam diya jata hain "Jinda ya murda".... SHABNAM apni team mein kuch aise logon ki bharti karti hain jo.mere hi school of thought se nikle hain...
Crossing the Return Threshold
Ab IPS Shabnam ki task force ka sirf ek maksad hain..Dhramraj ke sath un 2420 kaidiyon ko pakadna jinko Dharamraj ne bail issue kardi... Meri talash aur Unn sabhi 2420 logon ke ghar aur doston ke ghar chape mare jate hain...Lekin unka koi surag hath nahin lagta aisa lagta hain ki vo sabhi kahi  gayab ho gaye hain.
Movie end with high hook point...
Master of Two Worlds
Tabhi shabnam ko  khabar milti hain ki Bareilly to lucknow ja rahi train no 2420 kranti express.. jisme 2 coach main  RBI ka 2000 Cr  rupya ki currency le jayi ja rahi thi... Usme 18 gurd tainat the aur 872 passenger hain   ...tarin ko badi hi classified tarike se hijack kar liya gaya..
Magic Flight
Ab hum last frame main dekhte hain ki train 2420 kranti express ko as loco pilot Dharmraj chala raha hain....


No comments:

Post a Comment