Tuesday, October 27, 2020

gangs of ganges

Gangs of Ganges
"Main streem media apko kabhi ye nahin batayega ki Second world war main 40 british cargo ships jo gold aur platinum se bhare hue the Ganga ke Sunder van doob gaye ...Jiski assets value aaj ke time main bangladeshn ke net worth se  bhi jyda hain...
Aaj bhi Bangladesh aur India ke  media ganga crime se judi khabre dikhane se darte hain..Kyunki ganga ki garat main apradh ke khooni delta panpate hain aur maut ke saudagar "BungBaital " ka murda raaj chalta hain
Intel aur Interpol ki mane to "ganga besin" crime ka sabse bada black zone hain jaha deadbody  se lekar rare dolphin tak ka sauda jalti hui chintaon ke bich kiya jata hain...Send mafia , minral mafia, fish mafia iss Ganga main panapte hain..Kyunki Ganga ke bheetar beshumar daulat lasho ke dher main dabi hui hain."
Ganga pe depend Fisherman's apne pushtaini peshe ko chod kar ganga main under water crime karne ke liye majbur ho rahe hain .. Government scheme main in fisherman's clan ke liye koi jagah nahin hain...
Uttar pradesh ki industrial capital Kanpur se 24 km dur ganga nadi ke pas base Bithoor kasbe ke Ajimulah nagar ward main, 40 fisherman ki family rahti hain hai, lekin in 40 pariwaro mein se 2 ke pas hi fish hunting ke liye boat hain...Ek hain Dom raja Prajapati  jiske pas 2 boat hain..Jise uski beti "Kalratri" (20) chalati hain dusra hain Ajatashatru mallah (20) aka Ajju ,ye naam aur sir name use apni Maa se mila jo kabhi pure kannauj ki sabse behtreen gotakhor (water diver) thi,
Ajatashatru ko lagta hain ki kisi din use ganga banks ki safety police main parmanent water diver ki job mil jayegi  ..Abhi abhi usne ganga main geeri bus ke 20 passenger ko apni jaan pe khel kar bachya hain ...Vo 22 min 46 second tak pani main bina kisi oxygen calender aur scuba diving suit ke jinda raha tha...
Mallah Clan main maujud kisi dusri fisherman's family ke pas koi boat nahin hain aur vo log water mafia's ke liye majburi main fish hunting karte hain ..Mafia unhe par kg fish hunting ke 5 se 10 rupees ki mamuli kimat dete hain lekin yahi fish market main jate hi 1000 rupees par kg ke hisab se bikti hain aur mafia lakho ka dhandha roj karte hain... 
Kanpur se hokar bahane vali ganga mein machhli pakdne ka illegal business kafi time se chal raha hain .. dusmani aur huq ke chaker mein kai machhli mafia ek dusre ki jaan ke dushman ban chuke hain..Jisme kai fisherman ki maut ho chuki hain....
Jisme ek naam Ajatashatru ke baap ka bhi hain....Jo kisi jamane maine apne clan ka ubharta hua leader tha ..
Logon main afavah hain ki usne Mafia "Bang-Baital" se dushmani kar li thi jiske baad aaj tak vo kisi ko najar nahin aaya.. 
Bang-Baital Gangotri se lekar Ganga Sagar aur shundervan ka  "EKRAT" (एकराट) (lard suprimo) hain.. jise italian aur mafia world main pani ka sabse bada don bolte hain...
Ganga nadi,  Bharat se bangladesh tak jis jis city se gujarati hain, uss har ek city main BungBaital ke underboss hain...Bang-Baital ke ye underboss Water resources se hone vali hajaron caroor ki aamdani aur businessman ko direct or indirect way main government machinery's ke sath milkar chalate hain...
Saal 2008, main aaye recession ke bekabu haalat se nipatne ke liye Bangladesh government ko "Bangbaital" ke black money ki madad leni padi thi jiske bad Bangladesh diwaliya hone se bacha tha. aaj bhi Bangladesh ki bahut si government policy Bang-Baital ke ishare pe chalti hain.
Jungle aur jameen pe raj karne vale sabse bade don's mein Bungbaital ka khauf itna hain ki croron ka chanda har sal sirf isliye dhaka aur shundervan ke Bang-Baital headquarters main diya jata hain taki "BangBaital" kabhi jameen pe na aaye... Kuch log mante hain Tiger reserve ki aad main BungBaital kuch aur hi search kar raha hain jiske bad sark countries main use bada koi Don nahin hoga..
Ajatashatru batur gotakhor jaha ek taraf police ke kahne pe apni jaan ki baji laga kar pani main dead body nikalne ka kam karta hain to dusri taraf use apni family aur apne clan ke roji roti ke liye kai bar police ki goliyon ka samna karna padta hain.. 
Bitthur se Prayag raj tak Ganga nadi mein fish hunting par ban laga hua hain.. pet palne ke liye akser Ajatashatru aka Ajju aur uske clan ke dost fish hunting ke dauran unnav police ko dekhkar kanpur seema main aa jate hain tu kabhi Kanpur police ko dekhkar unnav ki seema main ghush jate hain.. aur aise hi dohari Jindgi jeete hue Ajatshtru police ka water diver banne ka sapna dekhta hain. Currupt police department ke officer 4 lakh ki ghoos lene ke bad bhi Ajju ko parmanent water diver nahin banne dete .. 
mafia ke log Ajju ki bhi boat ko apne kabje main le lete hain jinse usne police ko bribery dene ke liye 4 lakh udhar le rakhe the...
Clifanchor 
Aakhri bar jo dead body Ajju ne police ke liye recover ki thi vo body 20 saal purani thi..jab bus Ganga main uss jagah giri jaha aaj se bees saal pahle ek aadmi ko lohe ke sandook main, pathar bandh kar pani main fek diya gaya tha ..Lekin Bus ke geerte hi pani ki talhati main dabe lohe ka sandook khul gaya aur usme rakhi body pani ke uper aa gayi aur Ajatshatru ke hath lagi aur ye body uske pita "Jigar singh" ki thi...
Use Domraja Prajapati batata hain ki kahi na kahi uske pita ki maut ke piche bhi BangBaital aur uske sage Chacha Prachand ka hath hain...Jo ab uttrakhand zone ke underboss hain... Prachand Ganga se minerals mining aur drugs ki illegal taskari karta hain..
Lali aur kanti do twins bahne pure lohar clan ko chalti hain jo Fishman mafia ke liye boat aur hathiyar banate hain..  kisi jamane main iss clan  ka sidha sambandh Munger se tha jaha Bangal ke nawab Meer kasim ke jamane se hi Hathiyaron ki kheti ki jati thi...Aur jail main sarkari hathiyaron ko banaya jata tha..lekin jab inke avidh setup ka pata state government ko chala to inhe apna arms setup kannauj le jana  pada, inke sardar ko kannauj main hathiyaron ka setup lagane main kabhi Ajatashatru ke pita Jigar singh ne help ki thi...Jiske badle sardar ne Jigar ke liye sabse majboot boat banayi thi jo ab Ajatshtru ke hath se fisal kar fish mafia ke pas ja chuki thi jo BungBiatal se associate hain... 
Kanti, Lali twins bahno ko Munger main ek bar fir se apna Hathiyar raaj chahiye jo ab BungBaital ke kabje main hain ...Unhe ek aise insan ki talash hain jo BungBaital se unki chini hui takat dila sake. aur vo hain Ajatashatru...Jise kisi bhi kimat pe ab apni boat hi nahin vo insan bhi chahiye jisne uske baap ko Ganga ke pani main dafan kar diya..
Ab yaha se Ajatshatru ko milta hain apne zindgi ka maksad jo abtak sirf ek Water diver bankar insano ki jindgi bachana chahta hain ...Lekin ab use apne malah clan ko bachana hain water mafia se jo use Machli maarne vala ek badhua majdur banana chahte hain...
Lekin ye daur Ajatashatru ka hain..Ajatashatru Lali aur Kanti ki madat se sabse pahle Fishing ceeds ki taskari kar ke BungBaital ke tabut main pahli keel thok deta hain..Aage Ajatshatru "Gangs of Ganges" ko stablish karta hain...Domraja Prajapati ke pas ek  Raaz hain jise bad BungBaital uski bhi hatya karva deta hain.. 
10 goddess art aur Maut ki devi ki puja karne vali, 'Kaalratri' apne pita ke maut ke bad always "unmarried and celibacy"  ritual chod kar Ajatashatru ka sath deti hain... 
kaalratri ke sath ho jane se Ajatashatru ki life main bahut bada turning point aata  hain, jab Kaalratri apni boat Ajatshtru ko deti hain aur Ajatshtru uss camical ka pata laga leta hain jise ganga main mila kar BungBaital ke log machliyon ko pani ke uper late the...
Ye camical mila dene se pani main desolve oxygen kam ho jata hain aur machliyon ke uper aate hi jaal bichaye baithe BungBaital ke log unhe pakad lete hain...Ab iss bat ka pata lagne ke bad Ajatshtru, fishunting ke dhandhe main bahut jaldi apni pakad banata hain...
Aise main use apne kai virodhiyon ka samna karna padta hain...BungBaital ke kai underboss, Ajatashatru ke ganga banks main jahreeli camical mila dete hain jisme kai ton machliya mari jati hain aur 40 begunah log mare jate hain jinhone vo comical mila pani pee liya tha...Ab Ajatashatru direct aur indirect way main government aur BungBaital donu ka dushman ban chuka tha..
Ajatashatru Lali aur kanti ki help se un gangs ka safaya karta hain jo Ganga main jahar aur dynamite visfot karke machli yon ko uper pani ke surface pe lakar unhe pakad lete the.. jiske bad bahut si ganga main payi jane vali Rare machliya humesha ke liye khtam ho gayi thi..
Lali- kanti ke liye Ajatashatru finally Munger main vapsi ka rasta bhi khol deta hain, Jiske bad Ab gangs of Ganges ke pas vo sare hathiyar the jise pure purwanchal aur Bihar main fish mafia Bungbaital ke raaj ko khtam kiya ja sakta tha..iss pure warfare main Lali, kanti aur Ajatashatru ko apne kai sathiyon aur ajeej logon ki bali deni hoti hain..
Aage kaalratri ke kahne pe  Ajatshtru mamle ko settle karne ke liye Utrakhand jata hain jaha uska samna apne chacha Prachand se hota hain ....usse marne ke bad Ajatashatru ko apni asli cast aur clan ka pata chalta hain aur ye bhi ki uske pita jigar ye jaan gaye the ki eastindia company ke gold aur platinum se bhare 40 Ships  kaha dube the ...Kabhi sundervan main BungBaital  purvajo ne dubo 40 British cargo ships Ganga main dubo diye the jo uss daur ke sabse bade Jaldasu ya pirates the.. 
unke bede main kai aur clan ke log shamil the . jo clan maarkaat main sabse aage tha vo Prachand ke ancestors ka the jise Ajatashatru bhi belong karta tha..
Bad main british raaj ek document public domain main aa gaya jisme ye pata chala ki vo 40 cargo ships Sone aur platinum se bhare hue the jiski talash aaj bhi MI5 kar rahi hain...Jigar, Bungbaital ke kahne pe dube hue jahajo ke bare main pata karne laga.. 
 jab Jigar ne BungBaital ki bahan nayan tara ka dil todkar Ajat ki Maa se shadi ki tu clan ke logon ne use clan se bahar kar diya lekin khoji Jigar tabtak uss jagah ka pata laga chuka tha jaha vo ships dube the..Bungbaital se dushmani ke bad vo Kannauj aa gaya aur use marne ka kam Bungbaital ne Jigar ke bhai Prachand ko diya ....
 Prachand ko marne ke bad Ajat ki, pure north( UP + Bihar) pe hukumat hoti hain.
Ajatashatru kai illako main Ganga ki gaaz ko saaf kara deta hain jise dusre ilaake main  bahne vali machliya bah kar uske ilake main aane lagti hain..Jise Aajat ka munafa badhne lagta hain...Ab fayda ye hota hain ki sichai department aur fishing department ke officers uske jeb main aa jate hain aur BungBaital ke syndicate ko bahut bada jhatka lagta hain...
Ajatashatru ki gangs ek ek kar sare gangs ko niptate hue west ki taraf badh raha hain..Dusri taraf Bungbaital shundervan ke un ships tak pahuchne ki koshis kar raha hain jisme behisaab sona aur platinum bhara hua hain...
Kahani main bada twist tab aata hain jab west ke kai government dams ko Ajatashatru visfot kara kar gira deta hain jise machliyon ki paidavar direct bah kar Bihar aur UP main aane lagti hain ..Ab pure fishing business ka bahut bada share Ajatashatru ko mil jata hain...
ab shuru hota hain Ganga ke west vs north bank pe khooni khel ...Jaha government system stand by mood pe aa jata hain ..Land mafia, sand mafia, mineral mafia ke bich warfare lag jata hain...Iss pure warfare main Bungbaital, Ajatshtru ke kai lgono ko Ganga ki ret main dafna deta hain..Aur north ke 70 percent ilake Ajatashatru se chin leta hain aur fir se BungBaital ki dahshat pure north main sunai deti hain..
iss pure warfare main Ajatashatru ki official haar to hoti hain lekin Bungbaital ke bangal ke kuch ilako pe Ajatashatru ke gangs ki hukumat ho jati hain.. Actually main north ke Ganga banks main ye khooni jung Ajat ki sirf ek tactics thi jiske bad Bungbaital ka sara dhyan north pe chala gaya lekin Ajatashatru ko west chahiye aur ab uske pas west main ganga ke kuch aise ilake hain jo sundervan aur bangladesh se sate hue hain aur asal main Ajaatshtru ko Sunder van chahiye ....Jaha vo sari ships hain jisme itna sona hain ki ek bar main pura Bangladesh kharida ja sakta hain..kahani ka season end uss hookpoint se hoga jab Ajatashatru ko apne pita ki body se lipti hui ek shishi milegi jisme vo naksa hoga jisme uss spot ka Map hain jaha east india ke 40 sheeps doob gaye the...

No comments:

Post a Comment