Thursday, July 30, 2020

समय से परे वाला इश्क

उन्हें अपनी याद से घड़ी घड़ी घटा दिया मैंने, लेकिन वक़्त से परे हो चुका इश्क़ का एलार्म ही है जो अक्सर बज उठता है

Wednesday, July 15, 2020

Dharamraj

Working Title- Mr. 420
Story by Smrit singh
Genre - Dark comedy Drama 

Lead charactor 
Dharamraj  - Anti-hero and Protagonist
Shabnam- Antagonist and lover of Dharamraj
Roja- Antagonist and elder sister of Shabnam
Shukhram-  Antagonist
Jivan chaudhari- Dharamraj's father

Story based on actual events, when DHARAMRAJ is arrested by the Delhi Police , the authorities discover that Dharamraj has had many different identities. In a series of flashbacks, Dharamraj's life story is revealed.

Log-line 
Umer 80 saal , 95 bar giraftari..1000 Gadiyon ka lootera.. 2470 kaidiyon ko judge banke hoonymoon pe bhejne vala ,choro ka chanakya ..indian police ka loverboy, sajana aur long time damaad... aa rahe hain apke bich Hindustan ke sabse bade kalakandi  Mr.420 urf  Dharamraj

"Apni vastavik jindgi se gujar kar kisi dusri  jindgi me dubne se badi trasdi dusri koi nahin hain..Kyuki  aap jitna ek nai identity ko jeete hain aap utna hi apni vastvik jindgi ko bhulte jate hain"...
                                                                                                                                  DHARAMRAJ

Dhramraj ek super-genius polymath hai jiske pas eidetic and photography working memory (possibly Hyperthymesia), hain (Like great imposter Ferdinand Waldo Demara Jr. jiski vajah se uske  pas aisi ability hai ki vo kisi bhi skill aur function ko palak jhapakate hi sikh sakta hain .. vo apne kaam main itna mahir hain ki jitni der main log kapde badalte hain utni der main vo kisi bhi situation mein any professional identity main khud ko transform  kar sakta hain ..Jaise lawyer, doctor judge, etc
itne sari quality ke bare main Dharmaraj ko bachpan main kuch nahin pata tha..Uske pita Jivan chaudhri  ek karz main dube jagirdar hain lekin aaj bhi unke ghar ke darvaje pe ek hathi darban ke rupe main khada rahta hain .. 
Desh me jamindari demolished kar Jivan ki jamindari chin li jati hain ..Aur jo Beetal car unhone ne videsh se mangvayi thi...use custome vale pakad lete hain ...aur RTO vale uska kagaj nahin banate ...Bad main iss baat ka khulasa hota hain ki ek bade neta ko Dhramraj  ke pita ji ki gadi pasand aa gayi thi... Aur usne adhikariyon ko bolkar custome duties itni jayda kar di ki uske chukane ka dam Dhramraj ke pita Jivan chaudhry main na raha ..
Nawabi maintain karne main karz itna  tha ki Jamindari chin jane se Dhramraj ke pita Jivan chaudhary rato rat sadak pe aa gaye..
finally karzdaron ke dar se Jivan chaudhary ko hathi aur haveli bechni padi aur Bahadur gadh se apne pure parivar sahit Hinsar jana pada.... Jaha unhone kuch jamine kharid rakhi thi aur uski dekharekh ke liye kuch naukar rakhe the.. ...Lekin jab vo vahan pahuchte hain to vo naukar jameen pe apna malikana huq jatate hain aur Dhramraj  ke pita ko uss pure jameen ka ek chota sa hissa dene ke liye razi hote hain..Pahli bar Dhramraj ne garibi ka swaad chakha tha......Iss garibi ne use ander tak hila ke rakh diya..
Use apne  kapdo, apne chote se ghar, aur yaha tak ki apne bister se lekar khane pine tak aur uss sarakari school se bhi  garibi aur apmaan ki gandh aati thi..Use humesha se laga ki iss naye Democratic system ne uske parivar ko garib banakar kahin ka nahi choda...Ab vo aise school aur aise mahol me bada ho raha tha..Jaha garibi, bhukhmari, aparadh kukarmuute ki tarah kabhi bhi nikal aate the..
Dharmaraj ka gussa aisa tha jo kabhi bhi uske face pe najar nahin aaya ...Usne  kabhi bhi dusre aam bachhon ki tarah kisi se ladai jhagda nahin kiya lekin uski ek aadat amir se garib hone tak nahin badli... Vo vahi game khleta jisme vo king banta otherwise vo nahin khelta aise main akser vo dusre  bacchon ki bully aur maar peet ka shikar hota rahta ... Dharamraj iss garibi main bilkul nahin rahna chahta tha jise vo har din mar mar ke jee raha tha..
Vo apna bhagya ko hath ki lakiron me dhundhte hue ek jyotishi ke pas pahuchta hain.. Jyotishi batate hain ki uske jivan main Raj yog hain lekin vo apne hi quality se shapit hain aur uske pair me ek chakara hain jo use humesha kisi kaam main jayda der tak tika nahin rahne dega...
Jyotish ne Dhramraj  ko delhi jane ki salah di ..Kyuki Delhi iss pure desh me vo jagah thi  jaha iss democratic system ke sabse  takatvar log rahte the...aur unhin logon ke karan hi uske parivar ki ye dasha hui hain jiska naam garibi hain....
Dhramraj humesha akhbar ke uss tasveer ko apne sath rakhta tha jisme uske pita ki  Beetal car jaisi  tasveer thi.. jise vo pana chahta tha.. uski photography memory uske uper iss kadar havi thi ki vo uss photo aur apne pita ki batayi kuch driving skill ko Dharamraj ne apne dimag main aisa fit kiya ki vo us tasveer main kai ghante duba rahta.. aisa lagta jaise vo gadi chalana maa ke pet se sikh ke aaya ho.. ye pahla experience tha jisne Dhramraj ko uski pratibha ka ahsaas dilaya ....
Vo ghanto RTO dafter ke pas baitha rahta kyuki vaha use kai imported gadiya dekhne ko milti.. ek bar RTO dafter ke pas ek gadi malik unlocked chod ke chala gaya tha ..Dhramraj ki najar uspe rahti hain .. vo uss car ke pas jhat se pahuch jata hain..jab tak uss gadi ka malik RTO dafter se vapas aaya utni der main Dhramraj  gadi chalana sikh chuka hota hain vo bhi akele ..
Dharmaraj sirf 16 saal ki umer main license banvane ke liye RTO ke chakkar katne lagta hain..Iss duaran use RTO department ki dhero kagji khamiyon ka pata chalta hain ...Aur ab Dhramraj khud bhi RTO me license banvane ki dalali karne lagta hain..Dhramraj ke kamane se ghar ki halat sudharti hain..
Ye vo Daur tha jab desh main green revolution nahin aaya tha aur kahne  ka akal har parivar ko hafte main kai din khali pet sula raha tha.. .. ab dheere dheere Panjab Harayana ki aarthik Rajdhani chndigadh nahin Canada ban rahi thi.. aur bahut se jat aur sikh gadi ka license banva ke canda ja rahe the..Inme se aise kai log the jo driving licence ke liye disabled aur unqualified the aise logon ke liye Dhramraj  se jyda chamatkari aadmi koi nahin tha...
 Dhramraj  aise full proof document banata ki uske aage asli bhi nakli lagne lagta ..Aise main ek din ek aadmi jisne Dhramraj se licence banvaya tha vo panipat main pakda jata hain..aur uski nisan dehi pe Dhramraj ko Hinsar se police utha leti hain.. use panipat court main pesh kiya jata hain jaha  Sukhram judge tha jiski image ek imaandar judge ki thi lekin ander se vo ek currupt aadmi tha 

SUKHRAM chahte to Dhramraj  ko uski kam umer dekhte hue mamle se bari kar sakte the lekin unhone ne aisa nahin kiya aur finally unhone Dhramraj ko 6 mahine ke liye juvenile center bhej diya..
Dhramraj  judge sukhram ko apne jivan me kabhi nahin bhul paya.. 
khair issi juvenile center me uski mulakat ek ladki SHABNAM  se hoti hain jisne ek mashur collage main forge karke dakhila liya tha..Bad me jis college teacher ne uske forged document ka bhanda foda tha uske hi privet part ko SHABNAM ne kat khaya jiske bad use 3 mahine ke liye juvenile center bheja gaya tha.. ....SHABNAM humesha se sirf padhne ke liye pagal thi..chori karke fountain pen aur copy kharid leti thi...vo study karne ke liye iss tarh se obsessed thi ki crime tak sakti thi..
Uske mata pita Tamilanadu se  yaha panipat main aakar badhua majdoor banke fas gaye the lekin..Bad main jamindari dimolish hone ke bad apne ghar vapis laut aaye ...Lekin iss bich Shabnam apni bahan ke sath bhag gayi aur aage shabnam ko chod kar uski bahan apne yaar ke sath bhaag gayi jo ek cycle stand ka gunda tha... 
Aage ki jindgi  shabnam ne ek school main safai karmi banke kati kyuki uss time bachhon ke school main bachhon se bal majduri karana  bhi koi crime nahin tha.. khair iss bich usne padhai nahin chodi bhale hi use pen aur kitab chori karne ke karan uss school aur naukri se nikal diya gaya 
shabnam kisi dusre school main jakar vaha bhi saaf safai karne ka naam pe school ke student ke copy kitab pe hath saf karne lagi... isi tarah usne dheere dheere ek sarkari school se farji TC aur CC banva ke 12 pass kar liya aur ek college se B.A karne lagi jabki abhi uski umar sirf 17 saal thi uske iss raj ka pata ek teacher ko chal jata hain jiske bad vo juvenile center pahuch jati hain.. lekin ab uski pahachan ho chuki hain aur juvenile ki saja khatam hone ke bad  use uske home state Tamilanadu bheja jayega kyuki vaha uske mata pita ne bhi uski aur uski bahan ki  missing complaint likhai hain ....
Juvenile center main Dhramraj SHABNAM ko batata hain ki usne apne forge document me kaha kaha gadbad ki thi jiski vajah se vo teacher ke pakad me aa gayi aur Shbanam batati hain ki vo pakadi nahin jati agar vo professor ko vo sab sexual assault karne deti jo vo uske sath karna chahta tha..Aur isiliye usne uske private part ko kat liya...
Kahir Sabnam Dharamraj se pahle hi saja puri karke juvenile se nikal jati hain... lekin Dhramraj  ko uski ek baat yaad rahti hain ki vo fir se koi farji degree banakar graduate hogi aur uske bad Masters karne Delhi ke JNU  me dakhila legi ..  kuch time pahle hi JNU ko delhi main stablish kiya gaya tha aur vo ab india ka harvard, left party ka daftar aur shabnam ke liye uski dream university ban chuka tha..
Juvenile se riha hone ke dauran hi jab Dhramraj,  bina ticket Hinsaar  ja raha tha tabhi use ek Ticket collector bina ticket ke chalan kar deta hain aur station se utar kar Railway police ke hawale kar deta hain.. lakhno minnato ke bad bhi railway police ne uske hath par thapa mohar maar  again 3 mahine ke liye jail bhej diya kyuki usi din vo 18 saal ka pura ho chuka tha....Yaha Dharmaraj ko bilkul vaisa hi feel  hota hain jaisa Gandhi ji ko feel hua tha jab train se unhe bahar fek diya gaya tha..
Uske pita Jivan chaudhary ko jab pata chalta hain yo vo uski jamanat karane aate hain lekin Tabhi desh main emergency lag jati hain aur kisi bhi kaidi ko jamanat nahin milti aur yaha pahli baar Dharamraj ko kaidiyon ki durdasha aur uss psychology ka pata chalta hain ki ...jab kisi kaidi ko jarurat ke time jamanat nahin milti to uski kya halat hoti hain..uss daur main bhi aaj ki hi tarah kadiyon ki jindgi se kisi ko koi vasta nahin tha ..
Apne teen mahinon ke jail karavas main vo apne liye Bhagat singh ki tarah akhbaar aur kitabon ki mang karta hain..Uski bamchik kutai karne ke bad jailer uski maang ko pura karne ke liye raaji ho jata hain..  jail main Dhramraj  Railway ki sari jaankari nikal leta hain aur yaha tak ki use ab har train ka up and down aur vo kitne der kis station pe rukegi in sari baton ki jankari ho jati hain..
jail se riha hone ke bad uske hath pe all india travel ka thappa railway police force ne maar kar use Hinsar ke liye train pe baita diya lekin ab Dhramraj bina ticket kahin bhi pure desh main ja sakta tha ..Dhramraj ne ghar jane ke bajaye ab Bharat bhraman (all india travel) ka safar shuru kiya... Kashmir se kanyakumari ke safar ke dauran use Indian railway se pyar ho gaya ...Iss pyar bhare safar me usne coach ki safai ki to kabhi gana gaya kabhi nacha to kabhi dialogue sunaye to kabhi kai logon ko apni dukh bhari kahani suna ke kuch paise liye taki apne safar main khana kha sake ...
Dharmaraj ko fir aisha nasha hua ki vo 6 mahine Bharat ke alag railway station pe raha aur alag alag traino se pura bharat ghumta raha ..
Dhramraj  ko apni railyatara ke dauran ek aur nai bat ka pata chalta hain ki vo language bahut jaldi sikhta hain...Apne Rail safar main vo kai bar pure 28 sate ghum chuka tha aur 14 language bolne laga tha..Jo usne rail yatriyon aur un besahara logon se sikh li thi jinki roji roti rail aur ghar station ka platform tha..
Aur iss safar ke dauran ...Usne pahli baar ek baat likhi jo uske dil ke sabse karib thi...."Train me log milte hain kabhi na milne ke liye"...
Apne safar ke dauran train ke Ticket collector se bato bato me use Tickets collector bharti  ke bare me pata chalta hain..forge document banane main to vo pahle se hi mahir tha....Apne Rail safar ke dauran hi ek station pe ruk kar vo Ticket collector ke liye apply kar deta hain....
SHABNAM Tamilanadu ke kisi gaon me rahti thi..Usne apna pata Dhramraj  ko de rakha tha Tamilnadu ke safar ke dauran vo SHABNAM ko khat likhta hain aur use Train ke hi coriour service se SHABNAM tak pahucha deta hain..
Dhramraj ki ..next trip ke dauran SHABNAM usse milne aati hain to vo uske liye  kuch aise documnent bana ke deta hain jisse vo kisi bhi collage me addmission le sakti hain..
Finally Shabnam ek baar fir se apne ghar chod kar bhaag leti hain aur Dharmaraj ke sath hi addmission lene delhi pahuch jati hain... idhar Dharam Raj ke family vale Dharamraj ko mara hua ya gumshuda samjh kar bhulne lage hain ... 
Dhramraj Shabnam ke sath  Delhi utarta hain jaha uska Ticket collector ka interview tha.. Apne banaye farji naam aur document ke bal pe use railway main naukari mil jati hain..aur Shabnam ko B.A main Dakhila...
Allahabad, Banaras, Kanpur, Delhi, Railway me Dhramraj ne kam kiya ... lekin railway me job karne ke dauran bhi uska car ke liye passion kabhi kam nahi hua... Banaras railway allahabad railway aur Delhi railway station ke pas use alag alag redlight  kotho ke bare me pata chalta hain jaha  jism ka baazar sajta hain aur ameer jayde apni imoported gadiyan se aayashi katne aate hain..
Uss daur main Veshyaon (sex worker) ke kotho pe sona chandi baras raha tha aur pure desh me anaj ki kami thi..Aise main Dhramraj apni Railway ki job se bore ho chuka tha ...job se free hone ke bad vo un kotho pe jane laga jaha desh ke neta aur had darje ke currupt sarkari officers aate the..Dharamraj sexworkers se kajri, thumari, dadri, chaiti, aur ragni jaise foke song sikhta hain... to vahi unke kothe pe part time tablchi bankar tabla aur sarangi bajane ka kam karne lagta hain..
Jo neta aur officers apna driver saath nahin late to unhe ghar chodne ke naam pe vo unki gadiyon ko chala chala kar apne hath saf kar leta ..Ek time to aisa aa gaya jab use har car ke purge purge ka pata tha..
uski bich bich me mulakat SHABNAM se hoti hain jo aajkal college main High profile politician ke ladke Gulshan se dosti badha rahi thi jiske baap ki shifarish se use collage ka vip hostel aur  scholarship mil sakti thi ..Vahin neta ka ladka Gulshan uski jawani se khelna chahta tha...
Gulshan akser nashe me dhoot rahta tha aur usne GB road pe apna private kotha bana rakha tha  jaha Dharmaraj tablchi(tabla bajane vala) bana hua tha...  Gulshan ek Beetal car se college aata tha... 
Neta ka ladka jab ek rat nashe main dhoot  tha to Dharamraj use chodne uske bangle pe jata hain  aur bato hi bato me use pata chalta hain ki ye imported Beetal car asal main Dharmaraj ke pita ki hi thi jise vo custom valo se nahin le paye the ...
SHABNAM ko Dhramraj  ke iss car ke passion ke bare me nahin pata tha..Apne pita ki car ko Dhramraj  SHABNAM ki madad se chori karta hain aur ye aajad Bharat ki pahli car chori thi..Jiski FIR aaj bhi sansadbhvan ke police thane main darz hain..
Dhramraj ne highsequirity zone conoughtplace se apne pita ki car ko uss neta ke ladke se chura liya tha..Iss imported gadi ki chori ki report  ko pure india  ke News pepar main chapa gaya ..Aur aage chalakar ye bat samne aayi ki jis neta ke ladke ki car chori hui vo koi aur nahin uss daur ke home minister the.....
Police ko aakhir me badi mehnat ke bad  unhin kotho ke pas vo gadi milti hain jaha akser uss Gulshan apni havas bujhane jata tha.....Jiske bad home minister shakti singh ki kafi badnami hoti hain aur unhe resign karna padta hai aur unka political career chaupat ho jata hain..
 iss ghatna ke bad Shabnam puri tarah se Dhramraj ke dareing ki fan ho gayi aur donon main pyar ho gaya...
Pre climax
Idhar kuch dinon bad  Railway ke ek adhikari ki bhi car chori hone se pure railway me hadkam mach jata hain.. Serial chori ke mafik  pure desh main kuch hi dino main 40 imported cars aur 1000 se jyda Fiat and Ambesdor car chori hoti hain..Aur rato rat Delhi ke Maya puri ko caro ka dumpzone banaya jata hain...Jiske uper sirf ek aadmi ka raaj tha.... uss daur ke sabse shatir chal baaz Natvar laal ka..
Ye sari cars DHARAMRAJ aur uske kuch sathiyon ne churai thi jo ek tribute tha Dhramraj ka Natvar laal ke  liye jisne abhi kuch dino pahle hi Tajmahal bech ke sare desh main sansani macha di thi....
Dhramraj se Natvar laal ki dusri mulakat bahut ajib dhung se hoti hain... Gulshan ki car se Dhramraj SHABNAM ko lene uske hostel jata hain .. Jiski khabar police ko ek  lag jati hain jo aur police car ka picha karti hain jaha Dharmaraj ko police ke  changul se bachata hain Natvarlal.. jo khud pure sahar main vaisi hi imported Beetal car liye ghoom raha tha...
yaha dusri official mulakat hoti hain Dhramraj  ki mahan chalbaz Natvarlal se jise Dhramraj apna god father manta tha..Jab use ahsas hota hain ki vo jyotish vala baba koi aur nahin Natvarlal hi tha..
Aage Natvar lal ke kahne pe hi usne itni car churai aur Delhi me Maya puri ka market stablish kiya gaya jaha U.P Bihar se aaye tadi par laundo ko  truck aur car katne ka kam diya gaya..Kyuki uss daur me har profession mein berojgari kaai ban kar lag gayi thi...Chahe vo peshe imaandari ka ho ya khoon khrabe ka..
Aage chalkar Mayapuri  asia main chori ki gadiyon ka sabse bada dump zone ho gaya... Iss Market main car to bahut choti si chij thi puri ki puri truck ko kaat kar uska purja purja minto main bech diya jata ...
Idhar police ko Railway adhiakri ki car chori ke bare me ek internal tip milti hain ...Bus yahin Dhramraj ko dhar(pakad) liya jata hain..Aur jab Dharamraj ki jach shuru hoti hain to uske railway main naukari pane ke jalsaji  bhare raaj se bhi parda uthta hain...
Tees hajari court main Dharamraj  ke virodh mamla pesh kiya jata hain ...Dhramraj  ko jalsaji aur 420 ke case me 2 saal ki kaid hoti hain...Iss bich desh ke kai hisson main  Dhramraj  ke uper aur bhi dusre car chori ke case bhi alag alag court me chal rahe hote hain aise main use Tihad jail se har hafte kisi na kisi case ke silsile me court kachahari jana padta aur tasildar, munim, typewriter aur ..vakil case ladne ke liye usse bahut jyda paise mangte hain... Ab jail aur bail ke bich jhulte Dharamraj aur Shabnam ke bich duriyon ka side effect ho raha tha..
Lekin inn sari baton se beparvah  Dhramraj  ne court ke chakkar kat kat ke indian constitution and indian law ke bare me sabkuch  padh chuka tha...Jail se bari hone ke bad ..Dhramraj Delhi university se  LLB aur Graphology yani signature science ki bhi padhai karta hain..ye study  insan ki likhavat se uske personality ke bare main batati hain ..Sath hi ye study insan ko forge signature karna aur uski bariki samjhna bhi sikhati hain....
Ab  yahin Dhramraj  ka sabse bada jackpot lagta hai kyuki ab uske guru Natvarlal  ki kahi hui bat sach hone vali thi ki Uske jivan main Raj yog hain..
Iss bich desh ke sabhi chor uchako, chalbaaz, bandal baaz association ke leader Natwarlal ne Dhramraj  ko sri 420 ki upadhi se navaja...
Khair ek bar fir se use 40 car Chori ke dusre mamle me girftar kiya gaya lekin iss bar Dhramraj  ne apna case khud lada aur public prosicuter ki apni dalilo se dhajjiya uda di ...
Vakilo ke law forum ne Dhramraj  ko sabak sikhane ki thani aur akser uske khilaf koi na koi vakil PIL daal deta lekin in sare case main Dhramraj  ko koi badi saja nahin hoti kyuki Dhramraj  ko bade jurm ko choti saja me badlne  ka hunar aa chuka tha..Ab vo iss puri judisery system ka ek maharathi tha jise kanoon ke har loop and hole ka pata tha..
..Jab bhi kisi case me sarkari vakil ki jeet hoti aur Dhramraj ko uss case main jail bheja jata .. to desh bhar ke  uchake delhi aakar koi na koi crime kar ke Dhramraj  se milne Tihaad jail chale aate ..Tihad jail me to Dhramraj ne "how to get away with the any crime ka pura course chalata..
 Jail premise main Dhramraj ko sunne ke liye choron ki bheed jut jaati..vo world ke femous con man ke bare main  vistar se chrcha karta ..kuch mamlo main to Dhramraj  America ke kuch naamchin con man and imposters ko bhi piche chod diya...Vo use america se letter likha karte jiska hindi translation Dhramraj pure dil se apne sathi kaidiyon ko sunata tha..
Dhramraj ki dareing se attract hokar  desh ki jailo main band kuch mahila kaidi  dil hi dil main usse mohbat karne lagi thi inhi laidiyon me ek thi Roja jo Dhramraj ke pyar main ek tarfa pagal thi ..Aur Hariyana ke panipat jail main band thi usne apne pati ka khoon kiya tha..Lekin ek police vale se apni ijjat ka sauda kar usne  case ko maar pit me badlva diya aur murdor ko self defence main..
ab Shabnam JNU masters karne lagi thi aur ek activist student thi ..Akser government ke khilaf hala bol aur nukad natak karti rahti thi.lekin sachhai to insab se bhi pare hain...Jab bhi Dharamraj jail se bahar hota tu vo usse mahnge hotels main milne jati..Uske sath dikhavati ayashi karti..  dono ke bich pyar to tha lekin dono hi apni real identity se pare kuch aur hi bante ja rahe the....Dono ab sirf sex karne ke liye ek dusre se milne ki koshish karte aur pyar to unke bich kab ka mar chuka tha ....Kyuki jis identity main donu ko pyar hua tha usse gujre arsa beet chuka tha aur ab vo dono ek nai identity ko jee rahe the...
ek activist Medha sen ne Juvenile center main nabalik ladke aur ladakiyon  ke sath  sexual abuse ka mamle main fase jail minister aur unhe bari karne vale judge ke khilaf morcha khol diya... Medha sen  ka kahna tha ki chif Ministers aur sarakar ke dabav me aakar....Judge ne mantri ko clean chit dekar mamle se bari kar diya jiski judiciary janch honi chahiye  
iss pure mamle ko lekar Dhramraj personal intrest leta hain... Kyuki mantri ko bail dene vala vahi judge tha jisne Dharmaraj ko bhi kisi jamane main saja di thi...ab aage chalkar iss case main Dhramraj kitne logon ka beda paar karne vala tha ye asal me use bhi nahin malum tha..
Apne ek khas male kaidi se female kaidi Roja ko pata chalta hain ki .. Dhramraj ki koi mashuk bhi hain..Jise milne ke liye Dhramraj akser mahnge hotel main jata rahta hain..Ye bat uss kaidi ne un kaidiyon se sun rakhi thi jinhone Tihad main Dharmaraj ki class li thi ...Iss bat se Roja bahut naraj hoti hain aur jail se nikalne ki koshish karne lagti hain..
Idhar uss judge ko sabak sikhane ke liye Dhramraj ne ek confidential letter suprime court ke judge JJ katju ke sign ke sath district court me bheja ..Jiska sidha asar ye hua ki magistrate SUKHRAM ke khilaf curruption ki enquiry baitha di gayi lekin unhe judge ke position pe bane rahne diya gaya..Jab us enquiry se kuch na hua to uske against Dhramraj ne Bharat ke Rastrapati ke signature ke sath ek patra Haryana ke governor ko bheja .. Governor ke hastakshep se judge  pe enquiry shuru  ki gayi inquiry puri hone tak judge ko chuti pe bhej diya gaya..
Judge sukhram  ne fauran se uspe amal kiya aur next day se chuti pe parivar samet Shimla chale gaye ....Iske bad ek naye later ke dwara Dhramraj ne sessions court me naye judge ki bahali aur unke aane ke bare me sochna di...Aur ab uss naye judge ki chair pe koi aur nahin Dhramraj  baitha tha...
Dhramraj  ke judge bante hi...chor uchakko bandal bajo ki chandi ho gayi kaidiyon ko jab chahe tab khushi ho ya gum  jamanat milne lagi lekin rape case jaise mamlo main Dhramraj ne puri sakhti se saja di ... 
 ...Jab jab kisi begunah ko murdor Case me fasaya jata  aur sabut uske khilaf hote to Dhramraj uske  vakilo ko apne chamber me bulata aur unko kuch aise tips deta ..Jiske bad case unke hi favor main hone lagta ..
Apne judge rahne ke dauran 2470 logon ko record tod jamanat dekar Dhramraj pure judiciary system ki najar main aa gaya .... Khair SUKHRAM ko iss bat ka pata chal jata hain vo..Iski shikaayat police aur court main  karta hain..Lekin usse pahle hi Dhramraj bhaag kar back to delhi aa chuka hota hain....
Aage Dharamraj ne apna ek syndicate banaya jisme chor uchhko ko political, social and criminal behavior ki masterclass dene ke sath sath professional  chori ke tricks and technology batayi jati ..
Ye educated chor the jo crime karna aur aur saja se bachna khub achi tarh se jaan rahe the .. ...
Dhramraj  ka ye manana tha ki ek M.A pass chor us 10 fail police ke constable se kahi jyda smart hoga jo ghus dekar police main bharti hua hain. .. unka koi levol hi nahin ki vo crime ko solve kar sake aur criminals ko pakad sake ...
Dharamraj Bharat ke kai sarkari department ki gadbadiyio, ghuskhori aur curruption ka faida utha ke non violence crime karta hain aur humesha safely bach nikalta hain ..
 issi bich usse pata chalta hain ki uski girlfriend SHABNAM ab IPS ban gayi hain aur uske pas pahla case hain Dhramraj  ko range hatho pakadna..
 SHABNAM ne police main kuch aise logon ki bharti ki hain jo ..Dhramraj ke hi school of thought se nikle hain..
SHABNAM aisa kyu kar rahi hain ye koi nahin janta lekin asal baat to ye hain ki un 2470 logon ki jamant ke dauran Dhramraj ne ek aise apradhi ko bail de di jisne bahar nikalte hi SHABNAM ko jaan se marne ki koshish ki  jisme SHABNAM ke garbh me pal rahe navajat bachche ki maut ho gayi ..Jiska jimedar Shabnam  Dhramraj  ko manti hain...Aur vo koi aur nahin Dhramraj se ek tarfa pyar karne vali Roja hain  jo rishte me SHABNAM ki badi bahan hain ..
Ab dekhna hain ki kya SHABNAM Dhramraj  ko range hatho pakad paayegi...Ya use maaf kar degi..
Ab Dhramraj kya karega jab use apne mare hue bachhe aur Roja ka pata chalega .. ab IPS Shabnam ki task force ka sirf ek maksad hain..Dhramraj ke sath un 2470 kaidiyon ko pakadna jinko Dharamraj ne bail issue kar di ...Kya vo iss maksad main kamyab ho payengi ....In sare sawaalon ke jawab apko broad story main milenge...

Tuesday, July 14, 2020

तुम्हारी यादें

तुम्हारी यादों की खोराक तो लेनी कब की छोड़ दी
तकलीफ तो उस तलब की हैं जो हर वक्त जहन में जिंदा है